Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Holi Par Lekh

                        Holi Par Lekh

Prastavna - Yah ek Hinduo ka tyohaar hai. Hindu bhai ise bahut hi dhum-dham se mnate hain. Us din sabhi aapas me gale milte hain. Is din log sare bhedbhav ko bhula kr khushi - khushi ek dusre ko gulaar aur rang lagate hain tatha khushiyan bantte hain. Is tyohaar par bachche bahut khush hote hain aur bahut masti mauj krte hain. Holi ke ek din pahle holika dahan kiya jata hai.



Holi kab manaya jata hai

Holi basant ritu ke aagman par falgun maas ke purnima ko aanand aur khushi ke sath manaya jata hai. Is tyohaar ko falgun maas ke purnima ko manaye jane ke pichhe iska aitihaasik aur pauranik mahatva mana jata hai.


Holi ki taiyari

Holi ki taiyaari me ek din se jyada ka samay lagta hai. Is din sabhi ke yahan anek prakar ke pakwan bnaye jate hain jisme Gujiyan, Dahi brra, Pakaudi, Puwa, Samosa, Nimki aadi bnaye jate hain. Log kai din pahle sukhaye chips, aampapad aadi ko bhi us din bna kr khate hain. Har parivaar is tyohaar me apne bachcho ke liye kapde kharidta hai. Bachche naye naye kapde pahan kr holi khelte hain.


Samay ke sath Holi ka badalta swaroop

Aaj ke samay me Holi ka swaroop bahut badal chuka hai. Pahle log Holi me apni maryada nhi bhulte the. Lekin aaj Holi ko anaitik tarike se manaya jane lga hai. Ek - dusre ke kapde phad dena, jabardasti kisi ke upar rang daal dena, drink wagairah kr ke kisi ko apshabda bolna, kisi ke sath bhi ladai - jhagda krna aadi aaj ka Holi manane ka tarika hai. Isi karan se kai log ghar se bahar tak nhi nikalte, rang to lagana door ki baat hai.


Niskarsh -

Holi par sab masti me dube hote hain. Koi swadisht bhojan krke aaram se ghar par hai to koi madak pdartho ka sevan krke  bahar nase me apni manmani kr rha hai. Holi rango ka tyohaar hai khushiyon ka tyohaar hai ise khushi purvak khele, kisi ko haani na pahunchaye, paresan na kre.   

Post a Comment

0 Comments