Essay on Cow in hindi
Bhumika -
Bharat me jyadatar jagah kheti par nirbhar hain aur prachin kaal me kheti bail ke dwara jutai kr ke ki jati thi. Bharat me Gaay ka mahatwa kaafi hai. Gaay humare liye aarthik roop me bhi bahut kaam aati hai. Kheti krne me Bailo ka upyog jo Gaay ke hi bachche hote hain, Doodh bech kr bhi hume kaafi faayda hota hai.
Upyogita -
Gaay ke doodh se hume bibhinn prakar ke paushtik aahar milte hain jo humare swasthya aur bachcho ke liye kaafi faydemand hoti hai. Gaay ke doodh se trah trah ke dish bnaye jate hain. Doodh se Dahi, Makkhan, Paneer aadi bante hain jo kai trah ke dish me use kiye jate hain. Gaay ka ghee aur Gomutra humare liye aaushadhiyan bnane me kaam aati hai. Gaay ka gobar bhi kaafi useful sabit hota hai. Use khet - baari me daalne se khad ka kaam krti hai.
Gaay ka doodh bachcho ke liye bahut kaam aati hai. Bhains aur Bakri ka doodh bhi hum pite hain lekin Gaay ka doodh jitna fayda nhi krta hai. Gaay ka doodh pine se bachcho ka dimaag me kaafi badlaw aata hai. Jabki Bhains aur Bakri ke doodh me itni khasiyat nhi hai.
Gaay ka mrit sharir se bhi kaafi chije bnayi jati hai jo hume dainik upyog me kaam aati hai. Gaay ka sing, chamda, khur aur haddiyon se upyogi saman bnaye jate hain.
Gaay ki sharirik sanrachana -
Gaay ke ek munh, do nathune, do kaane, char pair, ek punchh, char than aur do aankhe hoti hai. Gaay apni puchh se makkhiyon ko bhagati hai. Uske khur uske pair ko surakshit rakhte hain.
Gaay ki Nasle -
Gaay bahut nasle ki hoti hai lekin Bharat me Sahiwal, Gir, Tharpakar aur Karan phrai jaise kuchh nasle hoti hai jo bhin - bhin jagaho pe hoti hai. Videsho me Jersey Gaay sabse jyada prasidh hai. Ye Gaay Bharatiya Gaay se thori badi aur bhari hoti hai. Doodh bhi jyada deti hai, iske bachche bhi kuchh bade paida hote hain.
![]() |
Gaay ke Rang -
Gaay ke kai rango ki hoti hai jinme se kuchh kali, safed, lal, chitkabri hoti hai.
Gaay ka dharmik mahatwa -
Gaay ko humare dharm me Mata ka sthan diya gya hai. Unko kai festival me pooja krte hain. Gaay ko laxmi bhi kahte hain. Ekadashi krti mahilaye jab vrat todti hai to Gaay ko kuchh prasadhi khila kr hi vrat todti hain. Ekadashi vrat Bhagwan Krishna ki pooja hoti hai aur Krishna bachpan me Gaay hi charaya krte the aur Gaay se judi bahut lilaye hain unki isliye Gaay ko prasadhi khilane ke baad hi khud khati hain. Gobardhan pooja me bhi Gaay ki pooja ki jati hai.
Bahgwan Shiv ke vahan bhi Gomata hi hain. Sawan mahine me jab dhaan ropai ki shuruwat hoti hai to us samay bhi Bail ki pooja ki jati hai, Sindoor, Safed Chawal se pooja ki jati hai.
Niskarsh -
Aaj humare aas-pas bahut polithin ka use kiya ja rha hai aur use ho jane ke baad log kahin bhi phenk de rhe hain. Plastic mitti me na hi sadti hai aur na hi pani se galti hai. Jaise ke taise pra rahta hai. Usko Gaay kha kr mar rhi hain. Yah ek gambhir samsya hai. Is par hume vichar krna hoga aur polithin ke use ko rokna hoga. Polithin ke jagah paper bag ka use kr sakte hain wo utna hani nhi pahunchata hai. To ispe hume vishesh kr dhyaan dena hoga tabhi ho sakega.






1 Comments
Very Informative blogs and read more about the Essay on Cow in Hindi and keep share it for more information
ReplyDelete